Shree Saraswati Mata Ji Ki Arati in English
।। Shree Saraswati Mata Ji Ki Aarti ।।
Kajjal purit lochan bhaare, Stan yug shobhit mukt hare
Veena pustak ranjit haste, Bhagawati bharati devi namaste
Jai saraswati mata, Maiya jai saraswati mata
Sadgun vaibhav shalini, tribhuvan vikhyata
Jai saraswati mata...
Chandravadani padamasini, Ghuti mangalakari
Sohen shubh hans sawari, Atul tejadhari
Jai saraswati mata...
Baayen kar mein veena, Daayen kar mein mala
Shish mukut mani sohe, gal motiyan mala
Jai saraswati mata...
Devi sharan jo aayen, Unaka uddhaar kiya
Paithi manthara dasi, raavan sanhar kiya
Jai saraswati mata...
Vidhya gyaan pradayini, Gyan prakash bharo
Moh aur agyan timir ka, Jag se nash karo
Jai saraswati mata...
Dhoop deep phal meva, Maa sweekar karo
Gyan chakshu de mata, Bhav se uddhaar karo
Jai saraswati mata...
Maa saraswati ji ki arati jo koi nar gave
Hitakari, sukhakari gyan bhakti pave
Jai saraswati mata...
Comments
Post a Comment